jab tum ne mera nam pukara khushi khushi main ho gaya tha tab se tumhaara khushi khushi dariya ke jaisi tum mein nazakat hai is liye dariya mein apna pair utara khushi khushi manga tumhein khuda se to us waqt jaan-e-jaan tuta falak se ek sitara khushi khushi mujh ko hai rahnuma ki zarurat so aaj tum mera bhi hath tham lo yara khushi khushi behtar hai us ke 'ishq mein furqat na ho kabhi main is liye hi jang mein haara khushi khushi main zindagi ki mar se girne lagun agar to yar mujh ko dena sahaara khushi khushi jis husn ko ghazal ye suna doge tum 'mukesh' ho jaega wo yar tumhaara khushi khushi