main kabhi tere barabar nahin ho sakta dost mitti ho sakta hun patthar nahin ho sakta dost main teri aankh ka aansu to ho sakta hun magar main teri aankh ka kankar nahin ho sakta dost meri tasir alag hai teri tasir alag main kabhi tujh sa sitamgar nahin ho sakta dost kitnon ne pyas bujhai hai rawani mein meri chah kar bhi main samandar nahin ho sakta dost main ziyaada se ziyaada tera ho bhi jaun tu magar mujh ko mayassar nahin ho sakta dost wo samajhta hai ghalat mujh ko har ek baat pe par ye yaqin hai wo sitamgar nahin ho sakta dost khud ko khud mein hi chhupae hue phirta hun yahan jitna andar hun main bahar nahin ho sakta dost