jab un se dosti na rahi dushmani rahi

jab un se dosti na rahi dushmani rahi
bigdi to bigdi aur bani to bani rahi

sadma raha malal raha be-kasi rahi
lekin kisi ki yaad hamesha lagi rahi

kya kahiye dushmani rahi ya dosti rahi
bigdi to bigdi aur bani to bani rahi

phir us ko dost jaan raha hun hazar haif
mujh se tamam-umr jise dushmani rahi

pahlu hazar hum ne kiye garche ikhtiyar
lekin jo us ke dil mein thani thi thani rahi

aaina dekhta nahin apne se sharm hai
achchha hua jo mujh se use bad-zani rahi

yusuf ko din duaen zulekha ne saikdon
muhtaj ho gai bhi to dil ki ghani rahi

aashiq ko ku-e-yar se behtar maqam kya
diwana tha jo qais ki ban se bani rahi

tariki-e-mazar to mashhur baat hai
kuchh hum bhi dhundh lenge agar raushni rahi

qadr-e-sukhan ke waste ab kya karun safi'
dadhi badhai phir bhi wahi kam-sini rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close