raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar gard gard apni basirat khak khak apna hunar jis taraf dekho hujum-e-chehra-e-be-chehragan kis ghane jangal mein yaro gum hua sab ka hunar ab hamari mutthiyon mein ek jugnu bhi nahin chhin kar be-rahm mausam le gaya sara hunar tod kar is ko bhi ab koi hawa le jaegi ye jo barg-e-sabz ke manind hai mera hunar ab kahan dil ke lahu mein bhigi bhigi aagahi jeb mein hum bhi liye phirte hain mange ka hunar dekhna hain khelne walon ki chabuk-dastiyan tash ka patta sahi mera hunar tera hunar garmi-e-pahlu yahi tashkik o la-ilmi ki aanch zauq-e-gumshudgi se hum hain ba-khabar ya ba-hunar bas yahi khakistar-e-jaan hai yahan apni shanakht ho gaya sara badan jab rakh to chamka hunar shakhsiyat ka ye tawazun tera hissa hai 'faza' jitni sada hai tabiat utna hi tikha hunar