jab yar ne utha kar zulfon ke baal bandhe tab main ne apne dil mein lakhon khayal bandhe do din mein hum to rijhe ai wae haal un ka guzre hain jin ke dil ko yan mah-o-sal bandhe tar-e-nigah mein us ke kyunkar phanse na ye dil aankhon ne jis ke lakhon wahshi ghazal bandhe jo kuchh hai rang us ka so hai nazar mein apni go jama zard pahne ya chira lal bandhe tere hi samne kuchh bahke hai mera nala warna nishane hum ne mare hain baal bandhe bose ki to hai khwahish par kahiye kyunki us se jis ka mizaj lab par harf-e-sawal bandhe maroge kis ko ji se kis par kamar kasi hai phirte ho kyun pyare talwar dhaal bandhe do-chaar sher aage us ke padhe to bola mazmun ye tu ne apne kya hasb-e-haal bandhe 'sauda' jo un ne bandha zulfon mein dil saza hai sheron mein us ke tu ne kyun khatt-o-khal bandhe