sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai na jaane kis ki gali se nikal ke raat gai junun ne daulat-e-dil ko nisar kar dala pukarti hi rahi aql kaenat gai shab-e-firaq ka itna bhi gham na kar ai dil su-e-sahar hi gai aaj tak jo raat gai pade hain rah mein kuchh phul khak-aluda koi janaza utha ya koi baraat gai 'shamim' ahd-e-guzishta ki guftugu na karo wo din gae wo mohabbat gai wo baat gai