main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah khula wo dhire dhire bu-e-inkishaf ki tarah ye be-samar zamin ye raegan falak ke silsile hain mere gird kyun hisar-e-etakaf ki tarah wo sardiyon ki dhup ki tarah ghurub ho gaya lipat rahi hai yaad jism se lihaf ki tarah ye lag raha hai sab duaen mustajab ho gain jagah jagah hai gahra aasman shigaf ki tarah saf-e-munafiqan mein phir wo ja mila to kya ajab hui thi sulh bhi khamosh ikhtilaf ki tarah