kaam har zakhm ne marham ka kiya ho jaise ab kisi se koi shikwa na gila ho jaise umr-bhar ishq ko gham-dida na rakkhe kyunkar hadisa wo ki abhi kal hi hua ho jaise ek muddat hui dekha tha jise pahle-pahal tere chehre mein wahi chehra chhupa ho jaise husn ke bhed ka pa lena nahin hai aasan hai ye wo raaz ki raazon mein pala ho jaise dur tak ek nigah ja ke thahar jati hai waqt ka fasla kuchh dhund raha ho jaise yaad-e-mazi se ye afsurda si raunaq dil mein aakhir-e-shab koi darwaza khula ho jaise hazl ko log 'sahar' aaj ghazal kahte hain zauq-e-sheri pe bura waqt pada ho jaise