jadu-e-khwab mein kuchh aise giraftar hue barish-e-sang hui bhi to na bedar hue jab the khush-haal bhale lagte the rishte gham ke ab wahi rishte meri jaan ka aazar hue jab talak panw mein wahshat thi junun mein taqat na kisi sae mein baithe na kabhi khar hue main ne jab gulf mein kuchh daulat-o-izzat pai aalam-e-fan bhi mere haq mein razakar hue jab khule naqd ke ausaf ba-faiz-e-naqdi kuchh risalon ke editor bhi taraf-dar hue wasl se jin ke hai maghrib mein qayamat si bapa un hi loundon ke liye 'mir'-ji bimar hue goliyan chalne ko tayyar thin pahle se 'naim' hum to bas jhanda uthane ke gunahgar hue