jadaw chudiyon ke hathon mein phaban kya khub bhare bhare tere bazu pe nau-ratan kya khub khajuri choti ke qurban wah kya kahna nisar pariyon ke mu-ba-mu shikan kya khub nai jawani ka josh aur ubhaar sine ka do-shaala dhalka hua sar se bankpan kya khub ajab bahaar hai belon ki aur buton ki pari dupatta tera ghairat-e-chaman kya khub izar-band ke lachchhe ka wah re aalam gudaz ranon pe pajame ki shikan kya khub jo pahna achchha bura tu ne utra ban ban kar har ek chiz mein jaani sajila-pan kya khub gulab se tere gal aur aankhen nargis se ba-rang-e-ghuncha-lala lab-o-dahan kya khub nazar phisalte hi wallah meri aankhon mein khak ki saf saf hai aaine sa badan kya khub khuda ne nur ke sanche mein tujh ko dhaala hai jo dekhta hai wo kahta hai ye sukhan kya khub bayan husn kare tera 'bahr' kis munh se tera banaw tere chhab teri phaban kya khub