ye jo badhti hui judai hai shayad aaghaz-e-be-wafai hai tu na badnam ho usi khatir sari duniya se aashnai hai kis qadar kashmakash ke baad khula ishq hi ishq se rihai hai sham-e-gham main to chand hun us ka mere ghar kya samajh ke aai hai zakhm-e-dil be-hijab ho ke ubhar koi taqrib-e-ru-numai hai uthta jata hai hauslon ka bharam ek sahaara shikasta-pai hai jaan 'ali' nahin padi aasan maut ro ro ke muskurai hai