jo gham ke shoalon se bujh gae the hum un ke daghon ka haar lae kisi ke ghar se diya uthaya kisi ke daman ka tar lae ye kohsaron ki tarbiyat hai ki apna khema jama hua hai hazar tufan sinan chalae hazar fauj-e-ghubar lae kise bataen ki gham ke sahra ko khuld-danish banaya kaise kahan se aab-e-rawan ko moda kahan se baad-e-bahaar lae har ek rah-e-junun se guzre har ek manzil se kuchh uthaya kahin se daman mein gham sameta kahin se jholi mein pyar lae khala ke mathe pe ek bindi na jaane kab se chamak rahi thi use bhi farq-e-zamin ki khatir hawa mein ud kar utar lae jo apni duniya basa chuka hai use bhi mushkil ka samna hai kahan se shams-o-qamar ugae kahan se lail-o-nahaar lae wahi shabahat wahi adaen magar wo lagta hai ghair jaisa 'naim' yaadon ki anjuman mein na jaane kis ko pukar lae