le ke be-shak hath mein khanjar chalo odh kar ikhlas ki chadar chalo koi chingari na ho is dher mein soch kar in khushk patton par chalo hadse bahar khade hain ghat mein phir palat kar khol ke andar chalo tod kar is khak-dan ki sarhaden baadalon ki thandi sadkon par chalo fan ki khidmat rotiyan deti nahin fan ki khidmat chhod kar daftar chalo main bhi hun patthar bana do aadmi mujh ko bhi chhute hue 'raghubar' chalo zindagi be-dagh bhi achchhi nahin tohmaten kuchh zindagi par dhar chalo ho gaya rukhsat gale mil kar koi tum bhi rakh kar dil par ab patthar chalo shahr ki mitti pukare hai 'shabab' ho chuka ban-bas pura ghar chalo