mahrumiyat hai karb hai hasrat hai aur hum is shahr mein muqim qayamat hai aur hum barson guzar gae hain khata hum ne ki thi ek tanhaiyan hain ashk-e-nadamat hai aur hum daur-e-khirad mein fikr hi apni asas hai mayusiyon ki god hai zulmat hai aur hum ghar mein qiyam karti hai virani-e-hayat bahar hamare zabt ki shohrat hai aur hum aaghaz kab hua tha safar ka nahin pata gard-e-rah-e-junun hai saubat hai aur hum 'jami' hudud-e-sham-o-sahar mein hain jab talak logon ki phabtiyan hain hiqarat hai aur hum