jafa-e-ahd ka ilzam ulat bhi sakta hun use yaqin na tha main palat bhi sakta hun main apne ishq mein shahin mizaj rakhta hun palat to jata hun lekin jhapat bhi sakta hun junun mein zulm ki gardan utar leta hun to ek nigah-e-mohabbat mein kat bhi sakta hun adu-e-shahr main barud hun mohabbat ka hadon se baat badhegi to phat bhi sakta hun bisat-e-arz pe chahun to phail jaun main ho ramz-e-yar to dil mein simat bhi sakta hun