ubalte paniyon mein hun kahan ubaal ki tarah main aaj bhi hun tah-nashin guzishta sal ki tarah dilon mein sab ke chubh rahi hai ek sawal ki tarah teri nigah-e-yas bhi hai mere haal ki tarah karunga tujh se guftugu zara thahar nimat to lun khada hai koi beach mein abhi sawal ki tarah na puchh mujh se haal dil ki in dinon hai zindagi kisi uruj-e-dida ki shab-e-zawal ki tarah wo ek yaad jo abhi hai dagh-e-dil bani hui phisal na jae zehn se kisi khayal ki tarah na puchh 'qaisar'-e-hazin ajib si wo chiz hai bichhi hui hai shahr mein jo ek jal ki tarah