jafa mein nam nikalo na aasman ki tarah khulengi lakh zabanen meri zaban ki tarah fareb-e-asar ko koi de meri fughan ki tarah tarashti hai ye fiqre teri zaban ki tarah ye kis ki saya-e-diwar ne mujhe pisa ye kaun tut pada mujh pe aasman ki tarah zarur dhaenge aafat kuchh un ke nawak-e-naz chadhe hain gosha-e-abru kadi kaman ki tarah rah-e-hayat kati is tarah ki uth uth kar main baith baith gaya gard-e-karwan ki tarah ba-rang-e-tair-e-bu main hun ghuncha-o-gul hain mere qafas ki tarah mere aashiyan ki tarah na tere dar se hate teri thokaren kha kar wahin jame rahe hum sang-e-astan ki tarah hamein hai ghar se talluq ab is qadar baqi kabhi jo aae to do din ko mehman ki tarah gaya chaman ko to jhuk kar bahut milin shakhen liya gulon ne mujhe mere aashiyan ki tarah bala hai ye koi thoda na jaane paikan ko lahu piyega hamara gham-e-nihan ki tarah zara si jaan ko lakhon tarah ke khatke hain chaman na lae kahin rang aasman ki tarah main aaun aap ke ghar kya mujhe daraate hain adu ke naqsh-e-qadam chashm-e-qadam chashm-e-pasban ki tarah sharik-e-dard to kya bais-e-aziyyat hain wo log jin se talluq tha jism o jaan ki tarah tumhein bhi degi maza kuchh meri musibat-e-ishq kahin kahin se suno us ko dastan ki tarah rahe kabhi na ilahi mera qafas khali ki mujh ko chain mila us mein aashiyan ki tarah mujhe shabab ne mara bala-e-jaan ho kar bahaar aai mere bagh mein khizan ki tarah qafas mein lut liye kaun se maze main ne dikhae aankh ne sayyaad baghban ki tarah kisi ko chain na qatil ki shokhiyon se mila mare hue bhi tadapte hain nim-jaan ki tarah teri uthan taraqqi kare qayamat ki tera shabab badhe umr-e-jawedan ki tarah jau apne ghar koi aa le to kaun de taklif sitare kaun wo baithe hain mehman ki tarah 'riyaz' maut hai is shart se hamein manzur zamin satae na marne par aasman ki tarah