musalsal yaad aati hai chamak chashm-e-ghazalan ki akeli zat hai aur raat hai jangal bayaban ki zara dekho hawa-e-subh kaise khinch lai hai akeli pankhudi mein dilkashi sare gulistan ki inhin galiyon mein khulte the mulaqaton ke darwaze inhin galiyon mein chalti hain hawaen sham-e-hijran ki koi zarre ko zarra hi samajh kar chhod deta hai kisi ko sujhti hai is se tamir-e-bayaban ki ye wo mausam hai jis mein koi patta bhi nahin hilta dil-e-tanha uthata hai saubat sham-e-hijran ki yahi kafi hai dil se muddaton ka bojh to utra chalo is chashm-e-giryan ne koi mushkil to aasan ki sitare dard ki aawaz se ghafil nahin rahte dam-e-ahu se raushan mishalen reg-e-bayaban ki