shabnam ne kab is baat se inkar kiya hai kirnon ne sada us se bahut pyar kiya hai shakhon pe ab ilzam koi baad-e-saba kyun tu ne hi to har shakh ko talwar kiya hai kis kis pe kiye lutf-o-karam shahr-e-tarab ne hum par bhi koi saya-e-diwar kiya hai kuchh sakhti-e-imroz to kuchh ye bhi ki yaro qarz-e-gham-e-farda ne giran-bar kiya hai jang apne muqaddar se kharidi hai ki hum ne ek shakhs hai dil de ki jise yar kiya hai ek lamhe ke ehsas ne tanha-safari mein barson ke liye waqt se hushiyar kiya hai hoga koi bhed is mein ki nam apna hamin ne bad-nam sar-e-kucha-o-bazar kiya hai jis dasht se lae the wahin le chalo yaro kyun aaise kharabe mein hamein khar kiya hai khush hote hain sheron se samajhte hain kahan log shaer ne kisi dard ka izhaar kiya hai