kabhi nafrat ka qissa mukhtasar hone nahin deta kisi surat wo hum ko mo'atabar hone nahin deta zara us ka karishma dekh koi inqalab aae nizam-e-kohna ko zer-o-zabar hone nahin deta zara tahni badhi aur baghban ne kat kar phenki use pauda hi rakhta hai shajar hone nahin deta jo mil baithe to phir sayyaad ki kuchh chal na paegi anadil ko wo yun shir-o-shakar hone nahin deta hamare qafile ke har musafir mein ye khubi hai kisi ko bhi wo apna rahbar hone nahin deta samajh baitha use tiryaq jis ko zahr kahta tha tujhe to aaina bhi shishagar hone nahin deta ayan ho jaega is tarah se rang-e-bahaar 'azhar' lahu se is liye chehra wo tar hone nahin deta