lab chup hain to kya dil gila-pardaz nahin hai sab kuchh hai khamoshi mein ek aawaz nahin hai kitna hi wo jhidken main kahe jata hun apni ghairat meri ab kuchh khalal-andaz nahin hai pahuchunga zarur aaj main us shokh ke ghar mein diwar to nichi hai jo dar-baz nahin hai is samt maraz ishq ka anjam ko pahuncha is samt tawajjoh ka bhi aaghaz nahin hai kya sada-dili hai ki teri chin-e-jabin ko main naz samajhta hun magar naz nahin hai marna tha ki sehat maraz-e-ishq se pai ab kuchh bhi tabiat na-saz nahin hai kyun sach ye kaha us ne ki ulfat nahin mujh se ye aib hi zalim mein ki dam-baz nahin hai rote hue jine se ajal ishq mein achchhi murde mein ye khubi hai ki ghammaz nahin hai zillat mujhe manzur magar aaun tere ghar kya harj mohabbat ka jo eazaz nahin hai kyun baithe hain hum wada-e-mahbub pe khush khush kya khoe talawwun bhi dar-andaz nahin hai ai 'shauq' kahe deti hai kuchh shakl khamoshi chup kyun ho agar dil mein koi raaz nahin hai