jagah jagah se shikasta hain kham hain diwaren na jaane kitne gharon ka bharam hain diwaren chhaton ka zikr hi kya un ko le udi hai hawa ab hadsat ke zer-e-qadam hain diwaren barasti barishon mein hongi mojib-e-khatra abhi to dhup mein abr-e-karam hain diwaren hamare kheme tanabon ke bal pe qaem hain chhaten to khub mayassar hain kam hain diwaren qadim shahron mein har-su qadam qadam bikhri purani rah-guzaron mein zam hain diwaren kahin dariche hain shan-o-shikoh ke marsiyan-khwan kahin mazar-e-waqar-o-hasham hain diwaren ye fart-e-girya-o-zari ka hai asar 'mansha' zamin makanon ki gili hai nam hain diwaren