raste mein jitne ped mile be-sada mile ghar se nikal pade the ki taza hawa mile insan ki talash hai rabb-e-karim ko insan ki aarzu hai kahin par khuda mile jo shakhs lamha lamha tajassus ke bawajud khud se na mil saka ho zamane se kya mile ye zindagi kuchh aise mere hath aa gai jaise kisi faqir ko sikka pada mile dharti ne aansuon ko pukara hai dosto baadal tamam ab ke samundar se ja mile har bar usi se ek naya ishq kijiye jab bhi mile wo shakhs to badla hua mile