ye daur kaisa hai ya-ilahi ki dost dushman se kam nahin hai khulus-e-har-rahbar-e-zamana fareb-e-rahzan se kam nahin hai hua to hai be-naqab koi nazar hai mahrum-e-did phir bhi naqab se hai siwa tajalli jamal-e-chilman se kam nahin hai laga ke khun-e-jigar ka tika hai samne gham ke sar-ba-sajda sanam-parasti mein tu bhi ai dil kisi barahman se kam nahin hai qafas ki hai ab mera thikana zarur hoga tabah ek din ki bijliyon ki nazar mein ye bhi mere nasheman se kam nahin hai misal-e-khurshid jalwa-gar hai jigar ka har ek dagh-e-taban nazara kar meri sham-e-gham ka jo subh-e-raushan se kam nahin hai ye khushk be-rang khar fazil mere liye hain gulon se behtar meri nazar mein mera bayaban kisi ke gulshan se kam nahin hai