jahan ab khar-zaren ho gai hain yahin aage bahaaren ho gai hain junun mein khushk ho rag-ha-e-gardan gareban ki si taren ho gai hain suna jata hai shahr-e-ishq ke gird mazaren hi mazaren ho gai hain isi dariya-e-khubi ka hai ye shauq ki maujen sab kanaren ho gai hain inhin galiyon mein jab rote the hum 'mir' kai dariya ki dhaaren ho gai hain