khwariyan badnamiyan ruswaiyan ishq ne shaklen ye sab dikhlaiyan wo hi kin baaten jo tujh ko bhaiyan bal be ai zalim teri khud-raiyan mar gae lakhon hi aur parwana ki kya kahun main us ki be-parwaiyan ek surat ke liye is ishq mein saikdon surat ki hain ruswaiyan shauq mein aaghosh-e-tegh-e-naz ke zakhm-e-dil lete hain sab angdaiyan hum se puchhe koi uzlat ka maza gosha-e-sahra hai aur tanhaiyan dil mushabbak surat-e-baadam hai barchhiyan palkon ki kis ki khaiyan khana-e-dil par hamare ya nasib baadalon ne bijliyan barsaiyan 'mushafi' bhi hai phankaiton mein miyan yaad hain us ko bhi kitni ghaiyan