sine mein us ke ek dil-e-dard-ashna to hai wo falsafi nahin hai magar sochta to hai taza hawa se kah do chali aae be-khatar dar band hai zarur daricha khula to hai qismat pe naz kyon na karun muddaton ke ba'd tum sa rah-e-hayat mein sathi mila to hai khwabon ki narm sej pe soe na hum kabhi manzil ki justuju mein pasina baha to hai be-nur sa ek aaina mere makan ka har aib har hunar mera pahchanta to hai ahl-e-qalam na manenge lagta hai meri baat allah ki kitab mein sab kuchh likha to hai dil bagh-bagh kyon na ho ye soch kar 'shafaq' shahr-e-ghazal mein koi mera ham-nawa to hai