ye jo parda hai kisi roz uthaya jae kaun hun main ye zamane ko bataya jae aarzu ye hai ki diwana kaha jae mujhe nam le kar na mera mujh ko bulaya jae jumbish-e-chashm se naghma hui jati hai faza kya qayamat ho labon ko jo hilaya jae wo meri fikr ki banhon mein nahin aa sakta sochta hun use sine se lagaya jae jis ka mabud hai chadhta hua suraj 'bedi' us ko ehsas andhere ka dilaya jae