jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai

jahan dariya kahin apne kinare chhod deta hai
koi uthta hai aur tufan ka rukh mod deta hai

mujhe be-dast-o-pa kar ke bhi khauf us ka nahin jata
kahin bhi hadisa guzre wo mujh se jod deta hai

bichhad ke tujh se kuchh jaana agar to is qadar jaana
wo mitti hun jise dariya kinare chhod deta hai

mohabbat mein zara si bewafai to zaruri hai
wahi achchha bhi lagta hai jo wade tod deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close