jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai usi ka sab hai jalwa jo jahan mein aashkara hai bhala makhluq khaliq ki sifat samjhe kahan qudrat usi se neti neti ai yar didon ne pukara hai na kuchh chaara chala lachaar chaaron haar kar baithe bichaare bed ne pyare bahut tum ko bechaara hai jo kuchh kahte hain hum yahi bhi tera jalwa hai ek warna kise taqat jo munh khole yahan har shakhs haara hai tera dam bharte hain hindu agar naqus bajta hai tujhe bhi shaikh ne pyare azan de kar pukara hai jo but patthar hain to kabe mein kya juz-khak-o-patthar hain bahut bhula hai wo is farq mein sar jis ne mara hai na hote jalwa-gar tum to ye girja kab ka gir jata nasara ko bhi to aakhir tumhaara hi sahaara hai tumhaara nur hai har shai mein kah so koi tak pyare usi se kah ke har har tum ko hindu ne pukara hai gunah bakhsho rasai do 'rasa' ko apne qadmon tak bura hai ya bhala hai jaisa hai pyare tumhaara hai