nakaam-e-tamanna ki afsurda-dili hogi

nakaam-e-tamanna ki afsurda-dili hogi
jab kuchh bhi nahin hoga aakhir ye ghadi hogi

gumnam koi dastak darwaza-e-dil par hai
ek yaad ko aana tha shayad ye wahi hogi

dopahr ki khamoshi diwar pe girti dhup
ek ruh udasi ko phir dhundh rahi hogi

jab tez hui barish wo chhat pe chala aaya
ek shakhs ko aise mein rone ki padi hogi

tum soch bhi sakti ho dauran-e-visal-e-yar
ek shakhs ko furqat ki khwahish bhi hui hogi

pahlu mein tere aa kar dil aur fasurda hai
ai dost guman ye tha do-baala khushi hogi

ek umr ki be-kari har kaam se mushkil hai
is daur mein fursat bhi mehnat se kadi hogi

be-fikr raho yaro main aaj bhi hun barbaad
din phir gae hain mere afwah udi hogi

shair ki rifaqat se mahfuz rakho khud ko
us zat ki sohbat mein achchhi bhi buri hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close