wo ek nigah jo be-ikhtiyar karti hai dilon ko dard ka umid-war karti hai wahi suluk mere dil se tum bhi kyon na karo chaman ke sath jo fasl-e-bahaar karti hai nigah-e-shauq ko dun kaun-si saza ya-rab ye dil ka raaz-e-nihan aashkar karti hai samajh saka na koi fitrat-e-mohabbat ko ye us ko phunkti hai jis ko pyar karti hai mujhe to chain nahin hai kashakash-e-gham se wo shai hai kya jo tumhein be-qarar karti hai na aae tum to shikayat mujhe nahin lekin ye chandni jo mujhe sharmsar karti hai ghurur-e-ishq bahut ho chuka 'adib' bahut wo bazm ab bhi tera intizar karti hai