jo ho wara-e-zat wo jina hi aur hai jine ka ahl-e-dil ke qarina hi aur hai tum sikka-e-rawan ki hawas mein ho tum ko kya juya hain jin ke hum wo khazina hi aur hai hum sahil-e-najat pe kashti jala chuke ab rahnuma koi na safina hi aur hai likh kar diya tha us ne jo wada visal ka us mein koi naya sa mahina hi aur hai phenki na jaane us ne meri qash-e-dil kahan angushtari mein ab to nagina hi aur hai pahuncha sambhal sambhal ke sar-e-baam tab khula manzil nahin ye us ki ye zina hi aur hai wo din gae ki sote the hum bhi pasare panw muddat se ab to shaghl-e-shabina hi aur hai 'haqqi' ye apna chashma-e-rangin utariye dekhenge phir ki dida-e-bina hi aur hai