jahan-e-husn-o-nazar se kinara karna hai wajud-e-shab ko mujhe istiara karna hai mere daricha-e-dil mein thahar na jae kahin wo ek khwab ki jis ko sitara karna hai tamam shahr andheron mein dub jaega hawa ko ek hi us ne ishaara karna hai ye qurbaton ke hain lamhe inhen ghanimat jaan inhi dinon ko to hum ne pukara karna hai wo doston ko bataega pyar ka qissa aur us ne zikr bahut kam hamara karna hai meri nigah mein jachta nahin koi 'asif' visal-e-yar ko hasil dobara karna hai