khwabon mein masruf hai tu par meri ye bedari dekh meri raaton ki syahi mein rang-e-khun ko tari dekh dekh tu meri ghurbat ko aur meri murda aankhon ko meri murda aankhon se tu ab bhi aansu jari dekh tujh ko dene ko hai mere pas bata kya kuchh bhi nahin tujh se baaten teri yaaden meri daulat sari dekh meri jaan ke sath sath ab sare lafz-e-fana mere in ko ek ek kar ke jate tu ab bari bari dekh zehn mein ek taswir thi teri apni sari daulat jo aaj yahan par khel khel mein hum ne wo bhi haari dekh gird mere har ja har dam ek shor sunai deta tha khamoshi bhi dekh le ab tu aa kar lash hamari dekh