jahan-e-marg-e-sada mein ek aur silsila khatm ho gaya hai kalam yani khuda ka hum se mukalima khatm ho gaya hai hamein to bas ye pata chala tha ki unton wale chale gae hain kisi ko is ki khabar nahin jo moamla khatm ho gaya hai na titliyon jaisi dopahar hai na ab wo suraj gulab jaisa jise mohabbat kaha gaya wo mughaalta khatm ho gaya hai tumhaari baaton ke jin pe shahtut jhad rahe hon wahi bataen ki talkh-abaad mein hamara to zaiqa khatm ho gaya hai hamari aankhon se khwab o khas ke tamam pushte hatae jaen hamara naraaz paniyon se muahida khatm ho gaya hai ab is liye bhi hamein mohabbat ko tul dena padega 'tabish' kisi ne puchha to kya kahenge ki silsila khatm ho gaya hai