qail karun kis baat se main tujh ko sitamgar dhalwan pe rukta nahin pani ho ki patthar suraj nikal aaya to wo mausam na rahega kuchh der ka mehman hai yahan subh ka manzar bahar jo main niklun to barahna nazar aaun baitha hun main ghar mein dar-diwar pahan kar bekar gaya gahre samundar mein utarna lahren mujhe phir dal gain ret ke upar aa dekh ki hun ab bhi main aaghosh-kushada aankhen hain meri os mein bhiga hua bistar kya mujh se meri umr ka qad nap rahe ho har pal hai yahan kitni hi sadiyon ke barabar baadal ho to phir khul ke baras lo kabhi shahid hai baat agar dil mein to kah do use munh par