kam-nigahi bhi hai khamoshi bhi ruposhi bhi kitni masum hai ehsan-faramoshi bhi ham-safar tu jo nahin hai to ye dhadka hai hamein thak na jae kahin raste mein wafa-koshi bhi ab tu hi rakhna mere pairahan-e-gham ka khayal hosh ki tarah se ruswa na ho be-hoshi bhi ghar mein rahiye to siwa hoti hai wahshat 'fakhir' chikhne lagti hai tanhai mein khamoshi bhi