jise pala tha ek muddat tak aaghosh-e-tamanna mein wahi bani hua mere gham o dard o aziyyat ka usi ke hath se kya kya saha sahna hai kya kya kuchh ilahi do jahan mein munh ho kala is murawwat ka karen insaf ka dawa asar kuchh bhi na zahir ho maza chakkha hai aise doston se bhi mohabbat ka mitaen taki apne zulm karne ki nadamat ko nikalen dhund kar har tarah se pahlu shikayat ka hasad ji mein bhara hai lag hai ek umr se dil mein karen zahir agar mauqa hai izhaar-e-adawat ka tama mein kuchh na samjhen bap aur bhai ki hurmat ko amal dekho to ye phir kuchh karen dawa sharafat ka meri umr-e-do-roza bekasi ke sath katti hai na apnon se na ghairon se mila samra riyazat ka jise dekha jise paya gharaz ka apni banda tha jahan main ab maza baqi nahin khalis mohabbat ka hamara kalba-e-ahzan hai hum hain ya kitaben hain raha baqi na koi ham-nashin ab apni qismat ka khuda aabaad rakkhe 'shad' mere un azizon ko maza chakkhwa diya al-qarz-o-miqraaz-ul-mohabbat ka