jahan hain mahbus ab bhi hum wo haram-saraen nahin rahengi larazte honton pe ab hamare faqat duaen nahin rahengi ghasab-shuda haq pe chup na rahna hamara manshur ho gaya hai uthega ab shor har sitam par dabi sadaen nahin rahengi hamare azm-e-jawan ke aage hamare sail-e-rawan ke aage purane zalim nahin tikenge nai balaen nahin rahengi ye qatl-gahen ye adl-gahen inhen bhala kis tarah sarahen ghulam aadil nahin rahenge ghalat sazaen nahin rahengi bane hain jo khadiman-e-millat wo karna sikhen hamari izzat wagarna un ke tanon pe bhi ye saji qabaen nahin rahengi