khar-o-khas phenke chaman ke raste jari kare baghban fasl-e-bahaar aane ki tayyari kare dil jigar ki ya jigar dil ki aza-dari kare ek hi aalam hai kis ki kaun gham-khwari kare mere dard-e-ishq se iza hai sari khalq ko maut behtar hai jab itna tul bimari kare naza ho lekin na sar ke kucha-e-mahbub se lakh ho behosh par itni tu hushyari kare shaare-e-ulfat ne likkha hai kitab-e-ishq mein wasl ho ya hijr sari raat bedari kare ai junun be-sakhta hai aafiyat madd-e-nazar aisa aalam ho ki aalam is se be-zari kare tere jis pahlu mein baithe dil jigar hain shad shad uth gae kah kar koi kis ki taraf-dari kare ishq galiyon mein phire lekin na ho parda-dari husn parde mein rahe aur garm bazari kare