ye zindagi to bahut kam hai dosti ke liye kahan se waqt nikalta hai dushmani ke liye ye aati jati hui sans zindagi ke liye ek imtihan-e-musalsal hai aadmi ke liye ye ahd-e-nau ka andhera are maaz-allah taras rahe hain charagh apni raushni ke liye unhen gulon ka tabassum to dekh lene do tamam-umr jo tarsa kiye hansi ke liye ye ahl-e-hosh mere raste se hat jaen bahut hai mera junun meri rahbari ke liye koi ruke ki chale gir pade ki thak jae guzarta waqt thaharta nahin kisi ke liye kise khabar thi ki jal jaega chaman 'shaarib' charagh hum ne jalae the raushni ke liye