jahan hote kisi chashm-e-sitara-yab mein hote hum aise log har lahza hisar-e-ab mein hote to phir hum par bhi khulta husn tere aariz-o-lab ka agar kuchh aur chehre bhi hamare khwab mein hote ye mitti panw mein zanjir ki surat hai warna hum zamin ko chhod kar ek khitta-e-shadab mein hote samundar ko bipharte dekh kar ye ji mein aata hai kabhi hum bhi muqayyad shoala-e-mahtab mein hote hamein bhi kya zaruri tha talluq duniya-daron se agar hum aap apne halqa-e-ahbab mein hote