jawani ki haalat guzar jaegi chadhi hai jo sar par utar jaegi jidhar ko meri chashm-e-tar jaegi udhar kaam dariya ka kar jaegi zamane ki iza ka shikwa na kar guzarte guzarte guzar jaegi khulega tujhe ishq-bazi ka haal ye hirs-e-hawa jabki mar jaegi mere jism-e-khaki se ho ke juda ye ruh-e-rawan phir kidhar jaegi mere naghmon se andalib-e-chaman kahan ud ke tu musht-e-par jaegi tawajjoh teri o but-e-bewafa mera kaam aakhir ko kar jaegi bahaar-e-chaman jabki hogi khizan meri wahshat-e-dil kidhar jaegi agar jazba-e-dil pe qabu raha shab-e-wasl ki phir thahar jaegi khinchi hai jo tegh-e-mohabbat dila yahi ek din tere sar jaegi chadhi hogi kachche ghade ki jise utarte utarte utar jaegi qimar-e-mohabbat mein gar aah ki ye jiti hui bazi har jaegi meri marg aisi hai ai 'muntahi' ki jis ki adam tak khabar jaegi