jhijak izhaar-e-arman ki ba-asani nahin jati khud apne shauq ki dil se pashemani nahin jati tadap shishe ke tukde bhi uda lete hain hire ki mohabbat ki nazar jaldi se pahchani nahin jati ufuq par nur rah jata hai suraj dubne par bhi ki dil bujh kar bhi nazron ki darakhshani nahin jati su-e-dil aa ke ab chashm-e-karam bhi kya bana legi shua-e-mehr se sahra ki virani nahin jati ye bazm-e-dair-o-kaba hai nahin kuchh sehn-e-mai-khana zara aawaz gunji aur pahchani nahin jati kisi ke lutf-e-be-payan ne kuchh yun su-e-dil dekha ki ab na-karda jurmon ki pashemani nahin jati taghaful par na ja us ke taghaful ek dhoka hai nigah-e-dost ki tahrik-e-pinhani nahin jati nazar jhuti shabab andha wo husn ek naqsh-e-fani hai haqiqat hai to ho lekin abhi mani nahin jati mayassar hai har ek iman mein mujh ko zauq ka sajda koi mazhab bhi ho buniyaad-e-insani nahin jati nazar jis ki taraf kar ke nigahen pher lete ho qayamat tak phir us dil ki pareshani nahin jati na samjho zabt-e-girya se khata par main nahin nadim ki aansu ponchh lene se pashemani nahin jati na ponchho tajrabaat-e-zindagani chot lagti hai nazar ab dost aur dushman ki pahchani nahin jati zamana karwaton par karwaten leta hai aur 'mulla' teri ab tak wo khwab-awar ghazal-khwani nahin jati