jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamein apni jaanib koi khinche liye jata hai hamein bazm mein takte hain munh us ka khade aur wo shokh na uthata hai kisi ko na bithata hai hamein kya sitam hai ki tariq apna rah-e-ishq mein aah koi jis ko nahin bhata wo hi bhata hai hamein is taraqqi mein tanazzul mein hai ki jun qamat-e-tifl aasman umr ghtane ko badhata hai hamein band kar baithe hain ab aankh jo hum to allah nazar aata jo nahin so nazar aata hai hamein thande hone ka bhi ta samjhen maza itne liye charkh manind-e-charagh aah jalata hai hamein ai khusha ye ki wo hansne ke liye rota hai apni khursandi-e-khatir ko kudhata hai hamein mil ke hum us se jo tuk sowen to dukh dene ko bakht-e-bad khwab judai ka dikhata hai hamein hum hain wo murgh-e-giraftar ki apne par se warna jis ko ki howe wo chhudata hai hamein la ke us shokh-e-sitamgar ke do-rangi ke payam na hansata hai koi ab na rulata hai hamein san se ja baithte hain us ke tasawwur mein hum aah bazm-e-khuban mein koi pas bulata hai hamein mahw-e-nazzara hon kya hum ki ba-qaul-e-'jurat' apni jaanib koi khinche liye jata hai hamein