kash wo shokh mere dil mein makin ho jae meri ujdi hui duniya bhi hasin ho jae mere sajdon ko ye eajaz ata kar ya-rab naqsh-e-pa un ka mera naqsh-e-jabin ho jae tere inkar mein bhi hota hai iqrar ka lutf han na kahne ki jo zid hai to nahin ho jae mahfil-e-pir-e-mughan ho ki ho bazm-e-jaanan dil ko barbaad hi hona hai kahin ho jae hashr mein wo bhi mere samne honge ya-rab faisla apna to behtar hai yahin ho jae moajize karta hai ai 'sehr' mera husn-e-nazar ek nazar dal dun jis shai pe hasin ho jae