yun bhala tum par saja kab aaine mein dekhna raat aaankhon mein kate tab aaine mein dekhna kaise kaise manzaron ke aks hain in mein nihan apni aankhen sochna jab aaine mein dekhna kaise kaise rang hain tanhai ki taswir mein jab kabhi fursat mile tab aaine mein dekhna tum kabhi patthar ki murat the magar ab phul ho apni tabdili ka matlab aaine mein dekhna samne ke manzaron se hat chuka gard-o-ghubar kis ka kaisa aks hai ab aaine mein dekhna khud-parasti ki tahon mein ek be-chehra wajud khul gaya 'salman' kal shab aaine mein dekhna