jahan na dost na gulchin na baghban mera phir is chaman mein rahe kyunkar aashiyan mera sharik-e-haal bure waqt mein ye hota hai siwae gham ke nahin koi mehrban mera ilahi khana-e-sayyaad par gire bijli ki fasl-e-gul mein jalaya hai aashiyan mera kuchh aaj-kal ke sitam ka gila nahin us se azal ke roz se dushman hai aasman mera tumhaare gham ke siwa meri jaan duniya mein na koi dost hai mera na mehrban mera na khauf charkh ka phir ho na ghair ka khatka jo tum ho mere to jaano ki hai jahan mera wo fash karta hai parda to ye chhupati hai zamin dost hai dushman hai aasman mera zaban wo 'dagh' ke sadqe mein pai hai 'mahmud' ki shaeri mein nahin koi ham-zaban mera