jaur kab tak saha kare koi sabr kab tak kiya kare koi kahin dushman bhi dost hote hain tum na samjho to kya kare koi tum bade parsa sahi lekin bad-gumani ko kya kare koi de ke dil tum ko jaan se jate phir tumhein le ke kya kare koi dil agar ho kisi ka kahne mein kyon kisi ki suna kare koi den adu ko dua wo jine ki mar na jae to kya kare koi kahte hain tujh se dil nahin milta is ko 'mahmud' kya kare koi